नवरात्रि प्रथम दिन माँ शैलपुत्री की पूजा
वंदे वाद्द्रिछतलाभाय चंद्रार्धकृतशेखराम |
वृषारूढां शूलधरां शैलपुत्री यशस्विनीम् ||
दुर्गा पूजा के प्रथम दिन माता शैलपुत्री की पूजा-वंदना इस मंत्र द्वारा की जाती है.
मां दुर्गा की पहली स्वरूपा और शैलराज हिमालय की पुत्री शैलपुत्री के पूजा के साथ ही दुर्गा पूजा आरम्भ हो जाता है. नवरात्र पूजन के प्रथम दिन कलश स्थापना के साथ इनकी ही पूजा और उपासना की जाती है. माता शैलपुत्री का वाहन वृषभ है, उनके दाहिने हाथ में त्रिशूल और बाएं हाथ में कमल का पुष्प रहता है. नवरात्र के इस प्रथम दिन की उपासना में योगी अपने मन को ‘मूलाधार’ चक्र में स्थित करते हैं और यहीं से उनकी योग साधना प्रारंभ होता है.
पौराणिक कथानुसार मां शैलपुत्री अपने पूर्व जन्म में प्रजापति दक्ष के घर कन्या रूप में उत्पन्न हुई थी. उस समय माता का नाम सती था और इनका विवाह भगवान् शंकर से हुआ था. एक बार प्रजापति दक्ष ने यज्ञ आरम्भ किया और सभी देवताओं को आमंत्रित किया परन्तु भगवान शिव को आमंत्रण नहीं दिया. अपने मां और बहनों से मिलने को आतुर मां सती बिना निमंत्रण के ही जब पिता के घर पहुंची तो उन्हें वहां अपने और भोलेनाथ के प्रति तिरस्कार से भरा भाव मिला. मां सती इस अपमान को सहन नहीं कर सकी और वहीं योगाग्नि द्वारा खुद को जलाकर भस्म कर दिया और अगले जन्म में शैलराज हिमालय के घर पुत्री रूप में जन्म लिया. शैलराज हिमालय के घर जन्म लेने के कारण मां दुर्गा के इस प्रथम स्वरुप को शैल पुत्री कहा जाता है.
Day 1 belongs to Mata Shailputri
Vande Vaadidra Chhatalaabhaaya Chandrardh Kritshekhraam
Vrisharudhaam Shooldharaam Shaiputri Yashsvineem.
Durga Pooja ke pratham din Mata Shailputri ki pooja-vandana is mantra dwara ki jati hai.
Maa Durga ki pahli swaroopa aur Shailraaj Himalaya ki putri Shailputri ke pooja ke sath hi Durga Pooja aarambh ho jata hai. Navratra poojan ke pratham din kalash sthapna ke sath inki hi pooja aur aradhna ki jati hai. Mata Shailputri ka vahan Vrishabh hai, unke dahine hath me Trishul aur bayen hath me Kamal ka pushp hai. Navratra ke is pratham din ki upasna me Yogi apne man ko ‘Mooladhar’ chakra me sthit karte hain aur yahi se unki yog sadhna prarambh hota hai. Pauranik kathanusar Maa Shailputri apne purv janm me Prajapati Daksh ke ghar kanya roop me utpann huyi thi.
Us samay mata ka naam Sati tha aur inka vivaah Bhagvan Shankar se hua tha. Ek bar Prajapati Daksh ne yagya aarambh kiya aur sabhi devtaao ko aamantrit kiya parantu Bhagvan Shiv ko aamantran na
hi diya. Apne maa aur bahno se milne ko aatur Maa Sati bina nimantran ke hi jab pita ke ghar pahunchi to unhe waha apne aur Bholenath ke prati tiraskar se bhara bhav mila. Maa Sati is apmaan ko sahan nahi kar saki aur wahi yogaagni dwara khud ko jalakar bhasm kar diya aur agle janm me Shailraj Himalaya ke ghar putri roop me janm liya. Shailraaj Himalaya ke ghar janm lene ke karan Maa Durga ke is pratham swaroop ko Shailputri kaha jata hai.
Leave a Reply