नवरात्रि तीसरा दिन माँ चन्द्रघन्टा की पूजा
पिण्डज प्रवरारुढ़ा चण्डकोपास्त्र कैर्युता |
प्रसादं तनुते मह्यं चंद्र घंष्टेति विश्रुता ||
नवरात्र के तीसरे दिन माता चंद्रघंटा की पूजा-वंदना इस मंत्र के द्वारा की जाती है-
मां दुर्गा की 9 शक्तियों की तीसरी स्वरूपा भगवती चंद्रघंटा की पूजा नवरात्र के तीसरे दिन की जाती है. माता के माथे पर घंटे आकार का अर्धचन्द्र है, जिस कारण इन्हें चन्द्रघंटा कहा जाता है. इनका रूप परम शांतिदायक और कल्याणकारी है. माता का शरीर स्वर्ण के समान उज्जवल है. इनका वाहन सिंह है और इनके दस हाथ हैं जो की विभिन्न प्रकार के अस्त्र-शस्त्र से सुशोभित रहते हैं. सिंह पर सवार मां चंद्रघंटा का रूप युद्ध के लिए उद्धत दिखता है और उनके घंटे की प्रचंड ध्वनि से असुर और राक्षस भयभीत करते हैं.
भगवती चंद्रघंटा की उपासना करने से उपासक आध्यात्मिक और आत्मिक शक्ति प्राप्त करता है और जो श्रद्धालु इस दिन श्रद्धा एवं भक्ति पूर्वक दुर्गा सप्तसती का पाठ करता है, वह संसार में यश, कीर्ति एवं सम्मान को प्राप्त करता है. माता चंद्रघंटा की पूजा-अर्चना भक्तो को सभी जन्मों के कष्टों और पापों से मुक्त कर इसलोक और परलोक में कल्याण प्रदान करती है और भगवती अपने दोनों हाथो से साधकों को चिरायु, सुख सम्पदा और रोगों से मुक्त होने का वरदान देती हैं.
मनुष्य को निरंतर माता चंद्रघंटा के पवित्र विग्रह को ध्यान में रखते हुए साधना की ओर अग्रसर होने का प्रयास करना चाहिए और इस दिन महिलाओं को घर पर बुलाकर आदर सम्मान पूर्वक उन्हें भोजन कराना चाहिए और कलश या मंदिर की घंटी उन्हें भेंट स्वरुप प्रदान करना चाहिए. इससे भक्त पर सदा भगवती की कृपा दृष्टि बनी रहती है.
Pindaj Pravaraarudha Chandkopastra Kairyutaa
Prasaadam Tanute Mahyam Chandram Ghanshteti Vishruta.
Navratra ke tisre din Mata Chandraghanta ki pooja-vandna is mantra dwara ki jatia hi
Maa Durga ki 9 shaktiyo ki tisri swaroopa Bhagvati Chandraghanta ki pooja Navratra ke tisre din ki jati hai. Mata ke mathe par ghante aakar ka ardhchandra hai, jis karan inhe Chandraghanta kaha jata hai. Inka roop param shantidayak aur kalyankari hai. Mata ka sharir swarn ke saman ujjaval hai. Inka vahan Singh hai aur inked as hath hain jo ki vibhinn prakar ke astra-shastra se sushobhit rahte hain.
Singh par savar Maa Chandraghanta ka roop yuddha ke liye uddhat dikhata hai aur unke ghante ki prachand dhvani se asur aur rakshas bhaybhit karte hain. Bhagvati Chandraghanta ki upasana karne se upasak aadhyatmik aur aatmik shakti prapt karta hai aur jo shraddhalu is din shraddha evam bhakti purvak Durga Saptsati ka path karta hai, wah sansar me yash, kirti evam samman ko prapt karta hai.
Mata Chandraghanta ki pooja-archana bhakto ko sabhi janmo ke kashto aur paapo se mukt kar islok aur parlok me kalian pradan karti hai aur Bhagvati apne dono hatho se sadhko ko chirayu, such sampda aur rogo se mukt hone ka vardan deti hai. Manushya ko nirantar Mata Chandraghanta ke pavitra vigrah ko dhyam me rakhte huye sadhna ki or agrasar hone ka prayas karna chahiye aur is din mahilaon ko ghar me bulakar aadar samman purvak unhe bhojan karana chahiye aur kalash ya mandir ki ghanti unhe bhent swaroop pradan karna chahiye. Isase bhakt par sada Bhagvati ki kripa drishti bani rahti hai.
Leave a Reply